For the loving H !!

Uss ki muskurahat meri zindagi hai .
Us ki zindagi Mera Tarzay hayat...
Mein ! mein nea rehti
Muhabbat ban jati hoon
jab wo samnay Hota hai..

Uss se kaisey kahoon ?
Meri Mohubbat ki Sarhad kahan
Tak hai ?
Bus alfaz bewafa ho Jatay hai
Iqrar e wafa karty karty ..

Ye zindagi tu likh di humne
Uss k nam..
Abb uss ka Sath chahiye
Hamesha k liye
Hamayshagi bi aisi
K jis ki ibtida laazawal ho ....

Uss ki muskurahat meri zindagi hai .
Us ki zindagi Mera Tarzay hayat...
Mein ! mein nea rehti
Muhabbat ban jati hoon
jab wo samnay Hota hai....






Comments

Popular Posts